Search This Blog

Thursday, March 1, 2012

'Na Jane'

na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....
kabhi sholo mein jal jati hu'n mai.....kabhi shabnam ki boo'ndo mein badal jati hu'n mai.....
sham dhalte hi chidiyo ka pankh le ud jati hu'n mai.....
subah ki pahli kiran ke sath lalima ban ug aati hu'n mai.....
na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....
yaad aati hai jab bachpan ki athkheliya'n... ..
pur nan aa'nkhin se apne takiye ko bhi'ngoti hu'n mai.....
na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....
sabki khushiyo'n mein apna gum bhool jati hu'n mai.....
har pal ek chehre ke pichhe dusra chehra chhupati hu'n mai......
palko mein aa'nso labo pe ha'nsi dikhati hu'n mai.....
bas you'n hi zindagi ko gujarti hu'n mai......
na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....!!!

No comments:

Post a Comment