Search This Blog

Friday, March 2, 2012

~~~~ Mera Chand ~~~~

pichhl kai dino se mai mahsoos kar rhi thi....
tum kuchh uljhe uljhe se..ukhde ukhde se dikh rahe ho....
jaise mujhse kuchh kahna chah rhe ho.....
magar kahne ki himmat nhi juta pa rhe....
mai janti hu'n..jo tumhare dil mein chal rha hai....
magar wo sabkuchh mai tumse sunana chah rhi hu'n....
'tumhare shabdo'n mein'.....
tumhe to maloom bhi nhi ki raat ko jab tum so jate ho.....
to mujhe tumhare sparsh mein pyaar ki wo tapish nhi mahsoos hoti.....
jo kabhi hua karti thi.....
tab mai chupke se uth kar balconey mein aa jati hu'n.....
aur ek tak uss chand ko dekhti hu'n.....
jo tumhare pyaar ki tarah ghatata badhta rahta hai.....
magar aaj ki raat shayad kayaamat ki raat thi.....
na jane kab tum bhi uth kar mere bagal mein aa khade hue.....
shayad aaj tumhare sabr ka ba'ndh tut chuka tha......
aur mai bhi khamoshi se tumhare bolne ka intazaar kar rahi thi.....
aakhir thahre hue shabdo mein tumne kahna shuru kiya.....
ek ek shabd pighle hue sheeshe ki tarah mere kano mein utar rahe the.....
mai apne ashru purn aa'nkho se uss chand ko dekh rhi thi.....
jo kabhi tumhare pyaar ka gawah tha..aaj tumhari bewafai ki dastan sun rha hai.....
dekh to tum bhi rahe the..uss chand ko aur mere aa'nsoon ko bhi.....
magar dekh kar bhi andekha kar rhe the.....
shayad darr rahe the..ki barso ka ye bandhan tumhe kahi'n kamjor na kar de.....
raat ke 2 baj rahe the...subah 4 baje ki flight thi tumhari.....
tumne apna saman pack kiya.....
aur hamare pyaar ki nishani apne bete ke mathe ko chuma.....
mujhse bina kuchh kahe bagair bahar nikal gaye......
kahne ko ab baki bhi kya tha.....
bas ek tasalli hui.....
jate jate tumhe yaad to raha ki tumhara ek beta bhi hai.....
kab subah hui pata bhi nhi chala.....
mai you'n hi.n balconey mein khadi rhi.....
tabhi plane ki aawaz sunai di..haa'n tumhari hi flight thi shayad.....
tum hamari zindagi se dur ja chuke the.....
hamesha ki tarah aaj bhi mai balconey mein khadi chand ko dekh rhi thi.....
shayad tumhara chehra dekhna chahti thi.....
magar chand ke sath uss per laga daag bhi nazar aaya......
tumhari bewafai ka daag.....
tabhi maine ek sparsh mahsoos kiya......
wo mera chand tha..jo sirf mera tha......
usne kaha..'mummy nee'nd nhi aa rhi..under chalo na'......
maine tadap kar usse god mein utha liya......
aur jor se apne kaleje se laga liya.....usne meri gardan mein apni baahein dali aur chain se so gaya.....
maine chand ke bahane phir tumhe dekha......
magar iss baar na to meri aa'nkho mein aa'nsoo aaye'n.....
na hi koi tees uthi......
kyu'nki mere seene se jo chand lipta hua tha.....
uski shitalta tumhare diye hue zakhmo ko bhoolne ke liye kafi the.....
barso baad aaj maine khud ko bahut halka aur majboot mahsoos kiya.....
yahi meri zindagi ki shuruaat hai.....
ab mujhe chand ko dekhne ki jarurat mahsoos nhi hoti.....
kyu'nki mere chand se jis mein koi daag nhi......
meri duniya raushan hai.......

No comments:

Post a Comment