Search This Blog

Sunday, December 30, 2012

विश्वास

सुनो ‘देव’ मैंने कभी तुमसे कुछ नहीं छुपाया
क्यूंकि मैं ने यही जाना है कि
रिश्तों कि बुनियाद विश्वास पर
खड़ी होती है...
मैंने तुम्हें टूटकर चाहा
मगर तब तुम्हें मेरी चाहत का
कोई एहसास नहीं रहा
सुनो मैं जानती हूँ कि आज तुम
फिर लौटना चाहते हो...वो भी क्यूँ
क्यूंकि जिसके लिए तुमने मुझे छोड़ा था
वो आज तुम्हें छोड़ गई
आज मैं भी एक सच बयान करती हूँ
और वो ये कि अब मैं तुमसे प्यार नही करती
और ना हीं मेरे अंदर कोई सम्मान है तुम्हारे लिए
इसलिए नहीं कि मेरी ज़िंदगी में कोई और है
इसलिए कि मैं कोई वस्तु नहीं
एक इंसान हूँ...तुम्हारी पत्नी
तुम्हारी वो अर्द्धांगनी जिसने तुम्हारी खुशी के लिए
तुम्हारी वेवफ़ाई का जहर भी पिया
मगर कभी किसी से अपना दर्द बयान नहीं किया
भिंगी पलकें मुसकुराते होंठ लेकर
अपने कर्तव्यों का निर्वाह करती रही
मगर तुमने...???
तुमने मुझे कभी पत्नी का सम्मान नहीं दिया
‘देव’ तुमने जितना हीं मुझे तोड़ा
मैं मजबूत होती गई....
जाओ ‘देव’ किसी और की तलाश करो
मेरे दिल के और इस घर के दरवाजे
ना जाने कब के तुम्हारे लिए बंद हो चुके हैं....!!!

'देव तुम से तुम तक
'
'रश्मि अभय'

परिंदे

कितना सुकून है इन परिंदों के साथ
जी करता है उम्र गुज़र जाए
इनके पंखों के साये में
मैं इनसे अपने दिल की 
हर बात करती हूँ
और ये मेरे प्यारे दोस्त
बहुत हीं धैर्य के साथ
मेरी बातें सुनते हैं
मैं अकेली कहाँ हूँ इस जहां में
ये मेरे संगी साथी हैं
जब भी ये खुश होते हैं
पंखों को खोल कर
आसमान की बुलंदियों को छु आते हैं
और फिर लौट कर
मेरे कंधों पर बैठ मेरे कानों में
सरगोशी करते हैं...'रश्मि'
उड़ान पंखों से नहीं
हौसलों से होती है
तुम बस पहल करो
कारवां बनता जाएगा 

हे पुरषोतम.....


मैं तो स्त्री थी,बंधी हुई थी अपने बंधनों में
मगर हे ‘देव’ तुम तो पुरुष थे
इस पुरुषप्रधान समाज में
तुम्हारी कौन सी मजबूरियां थी
अपने वचनों से बंधी मैं
मैंने कभी तुमसे कोई प्रश्न नहीं किया
चलती रही उन कंटक राहों पर
जिस पर तुम चलते रहे
मैं तो फिर भी तुम्हारे साथ थी
मगर सोचो ‘उर्मिला’ के उस दर्द को जिसने तुम्हारे प्रति
भातृ प्रेम को को देखकर
लक्ष्मण को तुम्हारे साथ कर दिया
हे रघुनंदन तुम स्त्री मन कि पीड़ा को क्या समझो
उसने तो महल में भी रहकर
चौदह साल का वनवास काटा
तुम तो पुरुष हो न...कैसे समझाऊँ हृदय की पीड़ा
जब मैं लंका से लौटी तो तुमने ली मेरी अग्निपरीक्षा
ये तुम्हारा अविश्वास था या पुरुष होने का अहम
हे 'देव' तुम भी तो मुझसे दूर थे
फिर तुमने क्यूँ नहीं दी अग्निपरीक्षा ??
कहते हैं...’रघुकुल रीत सदा चली आई
प्राण जाए पर वचन ना जाये’….
वचन तो तुमने भी लिए थे कठिन से कठिन
मार्ग पर साथ निभाने का....
मगर कितने कमजोर थे तुम
या पुरुषोतम कहलाना चाहते थे
तभी तो एक धोबी के कहने पर
अपनी पत्नी को वनवास दे दिया
वो भी उस वक़्त जब उसके अंदर तुम्हारे
रघुकुल का अंश पल रहा था....
हे ‘देव’ मैंने तुम्हारे कुल को वंश तो दे दिया
मगर मैं भूमि पुत्री ‘सीता’ पुनः भूमि में समा रही हूँ
इस श्राप के साथ की तुम मेरे नाम के बिना
हमेशा अधूरे रहोगे...........

.’रश्मि अभय’

***देव तुम से तुम तक***
 

Sunday, November 18, 2012

वट वृक्ष

तुम बेशक चले जाओ...
मैं यहीं रहूँगी...
उस वट वृक्ष की तरह...
जो तुम्हारे लौटने पर...
और कुछ ना सही...


मगर तुम्हारे थके हुए जिस्म को...
साया तो दे हीं सकता है...
मैं जानती हूँ...
तुम जरूर लौटोगे...
जब थक जाओगे ज़िंदगी से...
तब मैं तुम्हें अपने साये से लिपटा कर...
तुम्हारे जिस्म की सारी जलन को...
अपने दामन में समेट लूँगी...
और सौंप दूँगी तुम्हें...
अपने वजूद की सारी शीतलता...
हमेशा की तरह..
क्यूंकि अस्थिरता पुरुष की आदत है....
और सहनशीलता औरत की ताक़त........रश्मि अभय

Friday, August 10, 2012

तलाश


जो गुजरे हैं गम की राहों से, उनसे आँख क्यूँ चुराऊँ मैं,
जो शिला दे मेरी वफाओं का, मुझे उस नज़र की तलाश है,
 ज़िंदगी के इस सफर में, कई मोड़ ऐसे आयेंगे,
जो मेरी मंज़िलों का पता दे, उस रहगुज़र कि तलाश है,
डर है कि इस हालात से, टूट कर न बिखर जाऊँ मैं,
 जो बढ़ कर थाम ले मुझे, उस हमसफर कि तलाश है,
माना कि सहल हो हर खुशी, दुनियाँ भी मेरे साथ हो,
जो गम मेरे शरीक हो, उस चश्मतर कि
तलाश है...!!!

आँचल


और भी गम हैं ज़माने में रूलाने के लिए,
एक तुम हीं नहीं तन्हा मुझको सताने के लिए,
लग जाए अगर आग तो क्या कीजिये,
होती है एक चिंगारी हीं बहुत घर को जलाने के लिए,
इस दुनियाँ में बेवफ़ाई का देखा है अंजाम यही,
 रहती नहीं वफा की हस्ती, दर्द-ए-जफ़ा उठाने के लिए,
हँस रहा है वो आज अपनी हालत पे यूं,
क्या मिला नही है हक़ उसको महबूब का मातम मनाने के लिए,
अपने दिल में दबे शोलों से क्यूँ डरती हो ‘रश्मि’…??
अपने
आँचल पर लगे दाग से क्यूँ नाराज़ हो तुम...??
है एक बूंद हीं तेरे अशकों का,दामन पर लगे दाग को मिटाने के लिए.....!!!

सिसकते एहसास


कभी खुदा से कुछ नही मांगा मैंने
,
एक तेरी मोहब्बत के सिवा,
तुम थे तो सबकुछ था,
दामन भरा पड़ा था मेरी खुशियों से,
आज भी भरा पड़ा है दामन मेरा,
मगर खुशियाँ कहीं फिसल सी गई हैं,
कुछ बिखरे लमहें...एक दरकता रिश्ता...
और कुछ सिसकते एहसास,
बहुत कुछ है मेरी साँसों में...
जो कभी तुम्हारी साँसों से जुड़ी पड़ी थी,
बस एक छोटी सी शिकायत की थी मैंने,
अपना 'स्व' देकर तुम्हें मांगा था,
मगर शायद बंट जाना पुरुष की फितरत है,
और मुझे बंटे रिश्ते स्वीकार नहीं,
इसलिए चल दिये तुम मुझे छोड़ कर,
जाते जाते याद ना करने की नसीहत दे गए थे,
'मन' काश तुम मुझे भूल जाने की तरकीब भी बताते जाते.....!!!

Wednesday, April 11, 2012

Tum......

jab bhi tumse milti hu'n mai....
meri saa'nso mein ek ajeeb si khushboo bhar jati hai.....
thirak uthata hai tan maan mera....
teri unglion ki chuan se.....
na jane kitne pal guzar jate hain tumhari baaho'n ke ghere mein.....
lab khamosh hote hain.....
hamari dhadkane baatein karti hain....
ehsaas hota hai tab bichhadne ka.....jab sham dhalti hai......
waqt to waqt hota hai....
wo kisi ka intazaar nhi karta....
aur tum'Pritam'kitni khamosi se meri baatein sunte ho......
har pal ye ehsaas hota hai ki sirf ek tumhi ho jo apni iss'Pagli'ko samajh sakte ho.....
sambhal sakte ho.....
haa'n sirf tum.....
pata hai tumhe......
jab mai laut kar jati hu'n....
tumhare pyaar ka ehsaas mere sath jata hai....
janti hu'n....waha'n tak tumhari nigahein......
mera pichha karti hain......
jab tak mai tumhari nazro se ojhal na ho jao'n......
our yahi'n per meri himmat tutne lagti hain.....
maine kabhi palatkar tumhe nhi dekha....
jante ho kyu...???
kyu'nki mujhe khud ke bikhrne ka darr lagta hai.....
Aur mujhe apne bikhre hue lamho'n ko samet kar....
ek shuruaat karni hai......
ek nai shuruaat....
ye hausla bhi mera nhi.....
jo hai wo sab tumhara hai....
'YAHI SACH HAI'.......

Bsdnaam....

Kabhi socha na tha jo jeevan mein....
Aaj wo paigam mila hai....
Sare aam apni mehfil mein....
Usne mujhe neelam kiya hai....
Khuda jane kya anjaam ho mera....
Suna hai jung chiddi hai mere hushn ke deewano mein....
Aaj pure shahar mein qatl-e-aam hua hai....
Ya ilahi kya yahi anjaam tha meri mohabbat ka....
Mere mahboob ki nazar mein mera pyaar badnaam hua hai........
'Seem' —

DEV~~~~~~

'DEV'.......
Bas ek shab ki baat hai......
subah hone tak chale jana.......
chand ke neeche...khule aasmaan ke tale.......
mujhe apni julfo'n ko sawarne do......
dekhne do apni nigaaho'n mein........
apni surat ko.......
unn shabdo'n ki haqeekat ko.......
jise tumne bhawnao se oat-prot hokar kai baar duhraya hai........
naraj ho na.......???
dekho tum khafa na hona........ mujhe tumhari wafa per shak nhi......
apni kishmat ki lakeero per shak hai......
zindagi ne bahut thokde di hai mujhe......
ab tumhare sath aage badhne se pahle.......
apne saaye ka bhi aitbaar kar lena chahti hu'n......
janti hu'n....tum bismit ho.......
ek baar meri soch per.......
tumhari nigaho'n mein ek sawaal hai.......
'DEV'mujhe raat ke andhero se nhi......
din ke ujalo se darr lagta hai......
raat mein kam se kam saaye nazar nhi aate......
ye darr nhi satata ki ye mujhse bichhad jaye'nge.......
isliye kahti hu'n.......
bas ek raat apne pyaar ke saaye mein guzar jane do......
jisme meri aatma tum mein vilin ho jaye......
jisase koi bichhadne ka khauf na ho......
phir tumhari sari raatein sirf tumhari hai............ .
'DEV'Tum tak.......

Wednesday, April 4, 2012

Khushk Aa'nkhein

Chhalkte hain aa'nsoo.....
to chhalkne do inhe.....
you'n bhi bahut pyasa hai dil mera.......
bahti rahe'ngi ye khusk aa'nkhein......
un palo'n ke intazaar mein........
jab wo apne do aa'nsoo mere palko'n pe chhod gaya tha.......
agar kabhi achanak aakar usne apni amaanat ma'ngi.......
to kya jabab doo'ngi mai.......
ki uske do anmol aa'nsoo mitti mein mil gaye.....
isiliye kahti hu'n bahne do inhe.......
aviral dhara mein.......
jab tak wo apni amaanat le na jaye......
aur mai mitti mein mil na jao'n.......!!!

Thursday, March 8, 2012

Mahila -Divas

Aaj ki'Nari'kya mayane hain inki aazadi ka....?????
--------------- --------------- --------------- --------------- ----------'Neer aj ji'ki ek kavita hai......'Nari tere kitne roop.. Beti ban babool ke aa'ngan ko mahkaya..
Patni ban sajan ka ghar sajaya..
Maa bankar ek nai rachna ka aagaz kiya..
Apne sare sukh bhool kar sabke dukh ko apnaya..
Per tere dukh mein koi kaam na aaya.....lll
kitni sachchai hai inn shabdo mein...kya vastav mein aaj bhi nari swatantra hai...??? kabhi kabhi zindagi mein kuch aise khaas mod aate hain jo'meel ka pathar'sabit hote hain,aur hamein bahut kuchh sikha jate hain..kuchh aisi yaadein chhod jate hain jinhe'n hum chah kar bhi bhool nhi pate... aise mein kai sawal samane aate hain...
1-kya nari sach mein aazad ho gai hai..??
2-samaj mein inki stithi purush ke barabar ho pai hai...??
3-kya wakai jhuthe aadambaro aur paramparao ki bediyo se mukti mil gai hai..??
4-kya ab kanya bhrun hatya nhi hoti..??
5-aur yadi haa'n to kya usne shi mayane mein apni aazadi ko samjha hai.......??
jaha'n tak meri soch hai to wo hai ki'nhi'......wo kal bhi gulam thi aur aaj bhi gulam hai..... mool roop se jo soch,jo badlaw chahiye tha wo nhi hua aur nari ke prati wahi dharnayein badastur aaj bhi kayam hai....kuchh naye kanoon bane...pahnawe mein tabdiliya'n aayi..unki siksha per dhyan diya gaya...magar wo bhi kuchh khas tabko mein...lekin jaha'n shi mayene mein aazadi ki jarurat hai waha'n wo aaj bhi qaid hai....pinjra chahe lohe ka ho ya sone ka...use kitna bhi badha do..hota to pinjara hi hai... jaha'n tak shahro ki baat hai to shahrikaran ke naam per buraiya'n jyada faili hain....nari ki soch apni parmpara aur tahjeeb ko bhool kar dusri tarf aakarshit hone lagi hai.... aaj ke daud mein maa baap apne bachho ko padhane ke liye kya kuchh nhi karte...unke chehro pe apne sapne bunte hain...magar wo sapne kaha'n tak pure ho pate hain..??? pratispradha ki hod mein bas yahi soch rah gai hai ki uska purush sati sharab..cigaret te pee sakta hai to mai kyu nhi...dusri taraf hamein bhi apne ladko ko samjhana chahiye ki wo nari ka samman kare...apni bahan ko apne se kamtar na samjhe...aakhir rishta koi bhi ho shrishti ka nirman nari aur purush hi mil kar karte hain..phir itna antar kyu...samaj hum jaise kuchh parivaro se hi milkar banta hai...dukh ki baat to ye hai ki apne maa baap bhi antar karte hain...
bahut kuchh maine bhi apni zindagi mein jhela hai..mahsoos kiya hai...kyu ek padhi likhi ko apna jeevan sathi chunane ka haq puri tarah se nhi mil pata...??? kyu aazad kahla kar bhi wo zulm sahti hain aur ek din uski maut ho jati hai...?? kyu samajik darr se ya maa baap ke dabaw se wo kahi'n bhi shadi kar leti hain...jo unke kabil bhi nhi hote...???
karan ye hai ki samaj aaj bhi nari ke prati utna hi sankirn hai...aazad khyaal to bas chhalawa matr hai... Shi mayene mein aazadi to tab hai jab wo apna shi nirnya le sake...parivar aur samaj ki taraf se ye adhikar diya jaye......nhi to phir wahi baat hai.....'Abla teri yahi kahani....aa'nc hal mein doodh aa'nkho mein pani'........
'Rashmi Abhaya'

Friday, March 2, 2012

~~~~Kasam~~~~

Hum na kahte the ki ye baat jhoothi hai..
tumne har baar apni kasam dekar mujhe yakeen dilaya tha..
meri wafao'n ka shila kuchh iss tarah diya tumne..
mohabbat ke naam per zafa ka meetha zehar pilaya tha..
ashko'n ki aag se you'n jhulas gaya daman mera..
jise kabhie babul ne khushiyo'n se sajaya tha..
zindagi you'n hi benoor hue jati hai..
doli ki jagah tumne meri arthi ko uthaya tha...

~~~~Deedar~~~~

Zindagi hamnein mita di unhe pane ke liye...
Kah ke bhi aaye na wo mujhko rulane ke liye...
Ya Khuda....! door se deedar ho to achha ho...
Sheesha-e-dil kaha'n rakhoo'n chhupane ke liye...
Bijliya'n aa ker gire'ngi mere nasheman per...
Aalam-e-maut hai ai dil you'n zamane ke liye...
Mijaj-e-ishq ka kaise karoo'n baya'n ai 'Seem'...
Aaiye aap bhi ruswaiya'n uthane ke liye.......... 

~~~Karz~~~

Umr bhar karz bhare zist ke sab kishto'n ka...!
Payam milte hi aadar kiye hai'n rishto'n ka...!!
Pran bhee'nga kiye..barse ye aa'nkh sawan se...!
Ilahee kya karoge toote hue farishto'n ka...!!
Ek chi'nta ban uthi iss tarah ki hum ro baithe..!
Tadap ke dard ne swaagat kiya hai zisto'n ka...!!
Ka'npti lau-ai-deeye..gul na ho ai'Seem'abhi...!
Haal kya hoga..mere pyaar ke bahishto'n ka...!!

~~~Mujhme Mai Kaha'n Hu'n~~~

Tera gam... teri khushi.....
teri yaadein... teri baatein..... mujhme'Mai'kaha'n hu'n.....??
jo hai bas tera hai.....
ab khud ko dhoo'ndhti hu'n mai....
apni hi nigaaho'n mein.....
unn dhadkano mein.....
jise dil se churaya hai......
teri gazal...jab gungunate hai'n lab mere.....
teri aawaz goo'njati hai...mere kano mein.....
dekho na...ab to meri,khamoshiya'n bhi bolti hai'n.....
sargoshi karti hain......
aahista-aahista...shayad tera'Naam'leti hai'n......
mujhe pukarti hai'n......
kyu'nki mujhme mai kaha'n hu'n..... jo hai bas'Tera'hai....... ..!!!!

'Gutthi'

raat bhar nee'nd aa'nkho se dur rahi....
kuchh khwaab the jo ulajh kar rah gaye the....
uski ek ek guthi suljhane mein mai lagi rahi....
magar khwaab to khwaab hi thahre....
khuli palko'n mein bhi samane lagte hain....
aise mein waqt ki kuch khabar hi nhi rhi....
ki achanak wo sabhi khwaab mere hatho'n se fisal kar gir pade.... haqeekat ki dharatal se takra kar bikhar gaye sare....
aur ek ek guthi khud hi'n sulajhti chali gai....
aur unka jo roop mere samne aaya....
unko dekh kar hi kaleja kaa'np utha.....
kash mai inn guthiyo'n ko you'n hi rahne deti.....
ab inn aa'nkhon mein koi khwaab nhi rahe'n.....
aur na hi koi khwaab pale'nge ab.....
kyu'nki inka koi swaroop nhi hai.... jab tutate hain to aa'nkho se lahoo bahte hain.....
jo dikhte nhi...dil mahsoos karta hai.....
isliye'Seem'ab inn khwaabo ki haqeekat se bahut darr lagta hai.......!!!!

~~~~ Mera Chand ~~~~

pichhl kai dino se mai mahsoos kar rhi thi....
tum kuchh uljhe uljhe se..ukhde ukhde se dikh rahe ho....
jaise mujhse kuchh kahna chah rhe ho.....
magar kahne ki himmat nhi juta pa rhe....
mai janti hu'n..jo tumhare dil mein chal rha hai....
magar wo sabkuchh mai tumse sunana chah rhi hu'n....
'tumhare shabdo'n mein'.....
tumhe to maloom bhi nhi ki raat ko jab tum so jate ho.....
to mujhe tumhare sparsh mein pyaar ki wo tapish nhi mahsoos hoti.....
jo kabhi hua karti thi.....
tab mai chupke se uth kar balconey mein aa jati hu'n.....
aur ek tak uss chand ko dekhti hu'n.....
jo tumhare pyaar ki tarah ghatata badhta rahta hai.....
magar aaj ki raat shayad kayaamat ki raat thi.....
na jane kab tum bhi uth kar mere bagal mein aa khade hue.....
shayad aaj tumhare sabr ka ba'ndh tut chuka tha......
aur mai bhi khamoshi se tumhare bolne ka intazaar kar rahi thi.....
aakhir thahre hue shabdo mein tumne kahna shuru kiya.....
ek ek shabd pighle hue sheeshe ki tarah mere kano mein utar rahe the.....
mai apne ashru purn aa'nkho se uss chand ko dekh rhi thi.....
jo kabhi tumhare pyaar ka gawah tha..aaj tumhari bewafai ki dastan sun rha hai.....
dekh to tum bhi rahe the..uss chand ko aur mere aa'nsoon ko bhi.....
magar dekh kar bhi andekha kar rhe the.....
shayad darr rahe the..ki barso ka ye bandhan tumhe kahi'n kamjor na kar de.....
raat ke 2 baj rahe the...subah 4 baje ki flight thi tumhari.....
tumne apna saman pack kiya.....
aur hamare pyaar ki nishani apne bete ke mathe ko chuma.....
mujhse bina kuchh kahe bagair bahar nikal gaye......
kahne ko ab baki bhi kya tha.....
bas ek tasalli hui.....
jate jate tumhe yaad to raha ki tumhara ek beta bhi hai.....
kab subah hui pata bhi nhi chala.....
mai you'n hi.n balconey mein khadi rhi.....
tabhi plane ki aawaz sunai di..haa'n tumhari hi flight thi shayad.....
tum hamari zindagi se dur ja chuke the.....
hamesha ki tarah aaj bhi mai balconey mein khadi chand ko dekh rhi thi.....
shayad tumhara chehra dekhna chahti thi.....
magar chand ke sath uss per laga daag bhi nazar aaya......
tumhari bewafai ka daag.....
tabhi maine ek sparsh mahsoos kiya......
wo mera chand tha..jo sirf mera tha......
usne kaha..'mummy nee'nd nhi aa rhi..under chalo na'......
maine tadap kar usse god mein utha liya......
aur jor se apne kaleje se laga liya.....usne meri gardan mein apni baahein dali aur chain se so gaya.....
maine chand ke bahane phir tumhe dekha......
magar iss baar na to meri aa'nkho mein aa'nsoo aaye'n.....
na hi koi tees uthi......
kyu'nki mere seene se jo chand lipta hua tha.....
uski shitalta tumhare diye hue zakhmo ko bhoolne ke liye kafi the.....
barso baad aaj maine khud ko bahut halka aur majboot mahsoos kiya.....
yahi meri zindagi ki shuruaat hai.....
ab mujhe chand ko dekhne ki jarurat mahsoos nhi hoti.....
kyu'nki mere chand se jis mein koi daag nhi......
meri duniya raushan hai.......

Thursday, March 1, 2012

'Na Jane'

na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....
kabhi sholo mein jal jati hu'n mai.....kabhi shabnam ki boo'ndo mein badal jati hu'n mai.....
sham dhalte hi chidiyo ka pankh le ud jati hu'n mai.....
subah ki pahli kiran ke sath lalima ban ug aati hu'n mai.....
na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....
yaad aati hai jab bachpan ki athkheliya'n... ..
pur nan aa'nkhin se apne takiye ko bhi'ngoti hu'n mai.....
na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....
sabki khushiyo'n mein apna gum bhool jati hu'n mai.....
har pal ek chehre ke pichhe dusra chehra chhupati hu'n mai......
palko mein aa'nso labo pe ha'nsi dikhati hu'n mai.....
bas you'n hi zindagi ko gujarti hu'n mai......
na jane kitne roopo mein dhal jati hu'n mai.....!!!

'Uski Nami Se Darr Lagta Hai'

Tumhari aawaz ki nami....
beete dino ki tarah....
aaj bhi gumraah kar gai hai mujhe....
ye raaste ka bhatkaw..bhool- bhoolaiya ki tarah....
aaj bhi wahi'n lakar khada kar diya hai mujhe....
jaha'n se mai mud ke chai di thi....
kati patang ka anjaam mai janti hu'n....
isliye bistreet aakash mein jana nhi chahti....
ye rishte....safin e....nakhuda... .aur patwaro ke....
bahut thos aur bahut kamjor bhi hote hain....
mujhe tairna nhi aata...yaha'n sagar antheen hai....
aur bha'nwar haqeekat hai.....!!!
Isliye kahti huln....
raasto'n ko humwaar rahne do....
mujhe tumhari aawaz se nhi....
'USKI NAMI SE DAAR LAGTA HAI'........... ..!!!!!

'Ab kaha'n wo dil ki sadmaani'

Apni aaho'n ko roke hue the..apne hotho'n ko bhi see liya tha...
lakh raj-e-mohabbat chhupaya..kah gai aa'nsooon ki rawani...!

Yaad hogi tumhe wo bhi ghadiyaln..jabki milte the chhup chhup ke bahum...
ab kaha'n hain wo din jagmagate..ab kaha'n hain wo raatein suhani...!

Har taraf tere jalwe hain bikhre..dil ki aa'nkhon se dekhe to koi...
har taraf hai tera hi fasana..har taraf hai teri hi kahani....!

Dil ka sabr-o-sukoon le chuke ho..chand yaadien hain unko bhi le lo...
dil na tadpe tumhe yaad karke..rah na jaaye koi bhi nishani...!

Jo bhi dekha tha ek khwaab sa tha..jo suna tha wo sab tha fasana...
ab kahaln wo labo'n ka tabassum..ab kaha'n dil ki wo shadmaani....

~~~~ Pagli ~~~~

Muddato'n baad maine kal tumhe apni gali se guzarte dekha...
wahi aadayein.. wahi aawaz..wahi aa'nkhon ka deewanapan...
tumhe dekhkar ek baar phir mera wajood bikhar jata hai...
jise bamushkil maine guzare dino mein saheja tha....!!!
Aisa lagta hai jaise mai barso ka safar lamho mein tai karke lauti hu'n...
aur bhool gai hu'n mai ki mai'Aprajey'hu'n...
tumhe dekhkar na jane kitni yaadein mere jehan mein ubhar aai hain...
sochti hu'n ki kaash tum abhi aa jaate to kya hota...???
mere haatho'n mein wahi kitab hai jo kabhi tumne mujhe diya tha...
mai isse kholna chahti hu'n..padhna chahti hu'n...
magar akele nhi..tumhare saath..tumhare shabdo mein...
tumhi kaho ye pagalpan nhi to aur kya hai...
ki mai khyaalo'n mein hi tumhe lekar kaha'n se kaha'n guzar gai hu'n aaj...
mai sochti hu'n ki wo sabkuchh jo humdono ka tha wo kaha'n kho gaya...???
zindagi you'n bemaksad aur viran kaise ho gai...???
ki achanak meri soche ruk jati hain...
dekhti hu'n samne tum khade ho... nigaaho'n ko khud per yakeen nhi hota...
tumhari aa'nkhon mein pyaar ka ek toofan hai..magar saath mein dard ke jaljale bhi shamil hain...
mere haatho se fisal kar wo kitaab tumhare kadmo mein bikhar jati hai...
aur saamne dikhai deta hai wah panna jisper likha tha tumne...'Sasneh Tumko'...
mai jhukti hu'n usse uthane ke liye..ki thaam lete ho tum beech mein hi mujhe...
aur chum lete ho meri palko'n ko... bolo na...ye tumhare hotho'n ki tapish hai ya pyaar ka ooj...
ki barsho se jame hue mere aa'nsoo aaj barf ki tarah pighalne lage hain...
mujhe rota hua dekh barbas hi muskura uthate ho tum...
aur phir bhar ke mujhe apni baaho'n mein ye kahte ho...
"PAGLI TUM BILKUL WAISI HI HO"...... Haa'n..... ..mai waisa hi rahna chahti hu'n.....'Tumha ri Pagli'.... ...!!!!!

"Ibaadat"

Dil mein teri chahat ke siwa kuchh bhi nhi...
Zindagi meri ibaadat ke siwa kuchh bhi nhi...
Mai tere dar per kyu'n na sajda karu'n....????
Mere daman mein duao'n ke siwa kuchh bhi nhi...
Ai sanam mujhse na puchh mere gam ka sabab...
Mere paas ashk-e-nedaamat ke siwa kuchh bhi nhi...
Tu masiha hai mohabbat ka..ye khabar hai mujhko...
Meri dhadkane teri amaanat ke siwa kuchh bhi nhi...
Wo to mar ker mujhe mil hi gaya chain warna...
Zindagi ek sulagti chita ke siwa kuchh bhi nhi..........!!

'Haa'n yahi sach hai'

Kuchh dino ke liye khud ko zindagi ke dharre se alag kar lo...kinaare pe khade chup chap dekhte jao kya ho rha hai...aur....si rf aa'nsoo baha baha kar apna jee halka karte jao...magar ye mat bhoolna ki doosre kinaare per khada koi aur tumhare aa'nsoo ke har ek katre ko apne dil mein rakhta jaa rha hai....'Haa'n yahi sach hai'...........

'Adaawat'

Tumhein mujhse mohabbat nhi....na sahi....
Gairo'n pe hi'n tumhari inaayat sahi....
Rishta to kuchh hum dono ke beech bhi hai....
Nahi ishq ye...adaawat hi'n sahi......!!!! —

'Tumhari yaado'n ke diye raushan rahe'

Mujhe pata hai ki iss jeevan mein...
ek baar phir..mujhe ek naya aayam kayam karna hoga...
'magar ksise'???
janti hu'n mai..tumse alag..kisi naye aayam ko shuru karna...
mere liye mushkil hi nahi..namumkin hai...
Suno....'kasam hai tumhe'...
meri iss zid se tum dukhi na ho...
kam se kam mere under ye yakee'n to hai...
ki'Tum'...'sirf Tum'...
samajh sakte ho mere jajbaat ko...
aur mera yahi yakee'n meri taaqat hai...
Tumhi'n bolo..ye jaruri to nahi ki jeevan mein koi sathi mile hi...
aur ye kaise mumkin hai..ki wo tum jaisa hi hoga...
nhi..ab aur koi bazi nhi...
isliye'Tum'apni ye zid chhod do...
aur saamna karne do mujhe akele hi'n...
inn andhero ka...
shart sirf itni hai ki..dil mein...
'tumhari yaado'n ke diye raushan rahe'n'........

'Pritam'

har baar tumhe yaad kiya...
har pal tumhe apne under mahsoos kiya hai maine...
nhi janti kya rishta hai mera tumse...
shayad jo Meera ka Shyam se tha...
maine bhi to tumhare pyar mein.. pal..pratipal bish hi piya hai...
apno se hi thokare'n khai hain...
phir bhi tum nirantar mere khwaabo mein mere sath rahe...
'Pritam'meri har soch tumse shuru hokar tum per hi khatam ho jati hai...
maine tumhe kabhi dekha nhi...
sirf mahsoos kiya hai...
apni antraatma mein...
jab bhi tutati hu'n..bilakh kar rona chahti hu'n...
ek sargoshi si hoti hai mere kano mein...
haa'n tumhi to ho...
ye aawaz hi to mere liye tumhari pehchan hai...
har pal tumne mujhe hausla di hai...
'Rashmi'tum kabhi haar nhi sakti...
dekho tumhari kirno se subah ki shuruaat hoti hai...
haa'n ye sach hai...
magar aaj mai phir tutne lagi hu'n...
tumhe pukarna chahti hu'n...
magar kaise..???
tumhara naam bhi to mai nhi janti...
tumhari ek dhoondhli chhavi ke siwa kuchh bhi to nhi hai mere paas....
'Pritam'..tum kaha'n ho...
dekho tumhari'Rashmi' subah ki lalima ke sath jalne lagi hai...
dheere dheere jab surya ast hoga...
wo bhi apne andhero mein kho jayegi...
thak gai hu'n mai iss chakr se...
bas ab tharaw chahti hu'n...
ek cheer nidra...
bas ek baar mere kano mein sargoshi karo...
us aawaz ki sheetalta mere under ki jalan ko kam kar degi...
phir mai aaram se tumhari yaado'n ke daaman se lipat kar so jau'ngi...
tab tumhari koi sargoshi mujhe jaga nhi payegi...
'Pritam'..jante ho kyu'n...???
kyu'nki mai ab tum mein bileen ho chuki hu'n...
bas yahi ek rishta tha hum dono ke beech...
'Pritam'...tum rona nhi...
mai tumse phir miloo'ngi...
ek aur janam loo'ngi... jo sirf tumhara hoga...
mera intazaar karna........!! !!

"Kahaln ho Tum ??"

'Pritam'..kaha' n ho tum....???
kis duniya mein gum ho jaha'n tum tak meri pukar nhi pahu'nch pati...
tum to aise na the...
apni'Rashmi'ki dhadkan ke ehsaas se bhi..tum mahsoos kar lete the ki maine tumhe yaad kiya hai...
'Pritam'mujhe kabhi tumse kuchh kahne ki jarurat nhi padi...
jante ho na kyu..kyu'nki tumne har pal meri khamoshiyo'n ko samjha hai...
magar aaj meri rudan ki aawaz bhi suni-ansuni ho chali hai...
tumhari virah ki jwala mein mai pal pratipal rakh hoti ja rhi hu'n...
bas ek khwahish hai..kahu'n... tumse....???
manoge......???
jis din mai tumhari virah vedna mein jalkar bilkul bhasm ho jao'n...
meri raakh ko apne charno se sparsh kar dena...
shayad meri atript aatma ko mukti mil jaye...
aur kuchh rakh utha kar Ganga mein prawahit kar dena...
shambhawt mrityu prant hi uss sheetal jal mein mujhe thandak mil jaye....
'Pritam'karoge na apni'Rashmi'ki ye ichha puri...???