Search This Blog

Friday, March 2, 2012

'Gutthi'

raat bhar nee'nd aa'nkho se dur rahi....
kuchh khwaab the jo ulajh kar rah gaye the....
uski ek ek guthi suljhane mein mai lagi rahi....
magar khwaab to khwaab hi thahre....
khuli palko'n mein bhi samane lagte hain....
aise mein waqt ki kuch khabar hi nhi rhi....
ki achanak wo sabhi khwaab mere hatho'n se fisal kar gir pade.... haqeekat ki dharatal se takra kar bikhar gaye sare....
aur ek ek guthi khud hi'n sulajhti chali gai....
aur unka jo roop mere samne aaya....
unko dekh kar hi kaleja kaa'np utha.....
kash mai inn guthiyo'n ko you'n hi rahne deti.....
ab inn aa'nkhon mein koi khwaab nhi rahe'n.....
aur na hi koi khwaab pale'nge ab.....
kyu'nki inka koi swaroop nhi hai.... jab tutate hain to aa'nkho se lahoo bahte hain.....
jo dikhte nhi...dil mahsoos karta hai.....
isliye'Seem'ab inn khwaabo ki haqeekat se bahut darr lagta hai.......!!!!

No comments:

Post a Comment