Search This Blog

Thursday, March 8, 2012

Mahila -Divas

Aaj ki'Nari'kya mayane hain inki aazadi ka....?????
--------------- --------------- --------------- --------------- ----------'Neer aj ji'ki ek kavita hai......'Nari tere kitne roop.. Beti ban babool ke aa'ngan ko mahkaya..
Patni ban sajan ka ghar sajaya..
Maa bankar ek nai rachna ka aagaz kiya..
Apne sare sukh bhool kar sabke dukh ko apnaya..
Per tere dukh mein koi kaam na aaya.....lll
kitni sachchai hai inn shabdo mein...kya vastav mein aaj bhi nari swatantra hai...??? kabhi kabhi zindagi mein kuch aise khaas mod aate hain jo'meel ka pathar'sabit hote hain,aur hamein bahut kuchh sikha jate hain..kuchh aisi yaadein chhod jate hain jinhe'n hum chah kar bhi bhool nhi pate... aise mein kai sawal samane aate hain...
1-kya nari sach mein aazad ho gai hai..??
2-samaj mein inki stithi purush ke barabar ho pai hai...??
3-kya wakai jhuthe aadambaro aur paramparao ki bediyo se mukti mil gai hai..??
4-kya ab kanya bhrun hatya nhi hoti..??
5-aur yadi haa'n to kya usne shi mayane mein apni aazadi ko samjha hai.......??
jaha'n tak meri soch hai to wo hai ki'nhi'......wo kal bhi gulam thi aur aaj bhi gulam hai..... mool roop se jo soch,jo badlaw chahiye tha wo nhi hua aur nari ke prati wahi dharnayein badastur aaj bhi kayam hai....kuchh naye kanoon bane...pahnawe mein tabdiliya'n aayi..unki siksha per dhyan diya gaya...magar wo bhi kuchh khas tabko mein...lekin jaha'n shi mayene mein aazadi ki jarurat hai waha'n wo aaj bhi qaid hai....pinjra chahe lohe ka ho ya sone ka...use kitna bhi badha do..hota to pinjara hi hai... jaha'n tak shahro ki baat hai to shahrikaran ke naam per buraiya'n jyada faili hain....nari ki soch apni parmpara aur tahjeeb ko bhool kar dusri tarf aakarshit hone lagi hai.... aaj ke daud mein maa baap apne bachho ko padhane ke liye kya kuchh nhi karte...unke chehro pe apne sapne bunte hain...magar wo sapne kaha'n tak pure ho pate hain..??? pratispradha ki hod mein bas yahi soch rah gai hai ki uska purush sati sharab..cigaret te pee sakta hai to mai kyu nhi...dusri taraf hamein bhi apne ladko ko samjhana chahiye ki wo nari ka samman kare...apni bahan ko apne se kamtar na samjhe...aakhir rishta koi bhi ho shrishti ka nirman nari aur purush hi mil kar karte hain..phir itna antar kyu...samaj hum jaise kuchh parivaro se hi milkar banta hai...dukh ki baat to ye hai ki apne maa baap bhi antar karte hain...
bahut kuchh maine bhi apni zindagi mein jhela hai..mahsoos kiya hai...kyu ek padhi likhi ko apna jeevan sathi chunane ka haq puri tarah se nhi mil pata...??? kyu aazad kahla kar bhi wo zulm sahti hain aur ek din uski maut ho jati hai...?? kyu samajik darr se ya maa baap ke dabaw se wo kahi'n bhi shadi kar leti hain...jo unke kabil bhi nhi hote...???
karan ye hai ki samaj aaj bhi nari ke prati utna hi sankirn hai...aazad khyaal to bas chhalawa matr hai... Shi mayene mein aazadi to tab hai jab wo apna shi nirnya le sake...parivar aur samaj ki taraf se ye adhikar diya jaye......nhi to phir wahi baat hai.....'Abla teri yahi kahani....aa'nc hal mein doodh aa'nkho mein pani'........
'Rashmi Abhaya'

No comments:

Post a Comment